Tuesday, March 20, 2018

Namazi ke aage se guzarne ka gunah

Assalamualaikum ...
 Thoda waqt nikal k zarur padhe,

Namazi k aage se guzarne ka gunah :
SAHI BUKHARI : JILD: 1, BAAB :342,
HADEES NO: 483....
  "Busar bin Saeed (R.A) se riwaayat krte hai, k Zaid bin Khalid ne inhe Abu Jaheem k paas bheja taa k wo in se puche k unho ne Rasool ALLAH sallellahu alaihi wa sallam se namazi k aage se guzar jaane wale k mutallik ( k baare)  mein kya suna?  ,Abu Jaheem ne kaha Rasool Allah sallellahu alaihi wa sallam ne farmaya,agr namazi k saamne se guzarne wala ye jaanta k is par kid kadar gunah hai to isko namazi k saamne guzarne se 40 saal wahi khada rahena pasand hota, Abu an-nazar (is Hadees k raawi) kahete hai, mjhe maalum nahi 40 din kaha 40 mahine kaha ya 40 saal...."

Is Hadees -e- mubaraka se ye saabit hua k namazi k aage se guzarne ka kitna bada gunah hai... so dhyan rakhe, namazi k aage se na khud guzre ar na hi kisi ko guzarne de....)  
Is Hadees ko Imam Tirmizi, Imam Muslim ar Imam Abu Daud ne b riwaayat kiya hai.....
 1)- Jaamai Tirmizi :jild : 1, Hadees : 319, Baab: 246
2) Sahi Muslim :jild:1, Hadees :1128, baab:48...
3) Abu Daud Shareef : jild: 1, Hadees :694, baab:656....

Jazakallah .....

3 comments:

घरेलू झगड़ो का इलाज,Gharelu Jhagde Ka Ilaaj,

*💔घरेलू झगड़ो का इलाज💔* 🌸मुफ़्ती अहमद यार खान अलैरहमा फरमाते है : 🏩घर में दाखिल होते वक़्त बिस्मिल्लाह पढ़ कर पहले सीधा क़दम दरवाज़े में द...