Zindagi yeh nahi hai kisi ke liye
Zindagi hai Nabi ki Nabi ke liye
Chandni char din hai sabhi ke liye
Hai sada chaand Abdun Nabi ke liye
Zindagi hai Nabi ki Nabi ke liye
Nasamajh marte hai zindagi ke liye
Jeena marna hai sab kuch Nabi ke liye
Jeena marna hai sab kuch Nabi ke liye
Chandni char din hai sabhi ke liye
Hai sada chaand Abdun Nabi ke liye
Anta Feehim ke daaman me munkir bhi hai
Hum raha Ishrat e Daaimi ke liye
Hum raha Ishrat e Daaimi ke liye
Aayshh kar lo yaha munkiro chaar din
Mar ke tarso ge iss zindagi ke liye
Mar ke tarso ge iss zindagi ke liye
Daag e Ishq e Nabi le chalo qabr me
Hai Charaag e Lahad roshni ke liye
Hai Charaag e Lahad roshni ke liye
Naqshe Paa e Sagaan e Nabi dekhiye
Ye pata hai bohat Rahbari ke liye
Ye pata hai bohat Rahbari ke liye
Maslak e Ala Hazrat Salamat raha
Ek pehchan Deen e Nabi ke liye
Ek pehchan Deen e Nabi ke liye
Maslak e Ala Hazrat pe Qaaim raho
Zindagi di gayi hai Isi ke liye
Zindagi di gayi hai Isi ke liye
Sulh e Kulli Nabi ka nahi sunniyo
Sunni muslim hai saccha Nabi ke liye
Sunni muslim hai saccha Nabi ke liye
Wo bulaate hai koi yeh aawaz de
Dam me jaa pahuchu mai haaziri ke liye
Dam me jaa pahuchu mai haaziri ke liye
Aey Naseem e Saba un se keh de shaha
Muztarib hai Gadha Haaziri ke liye
Muztarib hai Gadha Haaziri ke liye
Jin ke dil mein hai Ishq e Nabi ki chamak
Wo taraste nahi chandni ke liye
Wo taraste nahi chandni ke liye
Jin ke dil me hai jalwe tere Ishq ke
Wo hai Najm e Zamaan roshni ke liye
Wo hai Najm e Zamaan roshni ke liye
Akhtar e Qadri khuld mein chal diya
Khuld waha hai har ek Qadri ke liye
Khuld waha hai har ek Qadri ke liye
MashaAllah๐
ReplyDeleteSUBHAN ALLAH
ReplyDeleteHUJOOR TAJUSHSHARIAH ZINDABAD
SUBHAN ALLAH
ReplyDeleteHUJOOR TAJUSHSHARIAH ZINDABAD
MashaAllah
ReplyDeleteHuzur Tajushshariah Zindabaad
ReplyDeleteMaula salamat rakhe mere Huzur Tajushshariah ko
ReplyDeleteMai rahoon naa rahoon iss jahan mein magar mera TAAJE SHARIAT salamat rahe.
ReplyDelete