Shab e Juma Ka Durood Sharif Aur Uski Fazilat :
Alla-humma Salli wasallim wa-barik ala sayyidina muhammadi-nin-nabiyyil ummiyil habibil aalil qadril azeemil jahi wa-ala aalihi wa-sahbihi wa-sallim
Buzurgan e Deen Ne Farmaya Ke Jo Shaks Har Shab E Jumma (Jumuah (Friday) or Jumerat (Thursday) Ke Darmiyani Raat) Is Darood Sharif Ko Pabandi Se kam-az-kam ek martaba (atleast 1 time) padhega to maut (death) k waqt Sarkare Madina ﷺ ki ziyarat karega aur kabr (grave) main dakhil hote waqt bhi, yaha tak ki wo dekhega ki sarkare madina hazrat muhammad ﷺ use kabr me apne rehmat bhare hatho se utar rahe hain.
[Afdal Us Salawat Ala Sayyidis Sadat Page No 151, Al Tagreeb Wat Tarheeb]
Sare Gunah Maaf :
Hazrat Anas Radiallahu Anhu se marvi he, huzur sallallahu alayhi wasallam ne farmaya, "Jo shaks shab e jumuah ke din namaz e fajr se pehle 3 bar "Astagfirullahallazi La-Ilaha Illa huwa-wa'atubu ilaih" padhe us ke gunah bakhs diye jayenge agarche samundar ki zaag se zyada ho!
[Almujamul avsat littibrani, 5/392, Hadees:7717]
[Faizan e Jumuah, 17]
MashaAllah
ReplyDelete