Friday, March 16, 2018

Muje Ajmer mein mar jane do Lyircs,Aaj Taqdeer sawar jane do

Mastano ke rele mein Das roz ke mele mein
Din kitne suhnae the Khush sare diwane the
Jab khatm hua mela Aankhon mein nami aayi
Khwaja se bichhdne ki jis waqt gadi aayi
Rota tha Machalta tha Chokhat pe tadapta tha
Dehliz pe Khwaja ki Diwana ye kehta tha


Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Sochta hun ke bahana kar dun
Jane walon ko rawana kar dun
Mein kisi ko bhi nazar na aaun
Damane Khwaja me Mein chhup jaaun
Zindagi bhar ko tahher jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Hathon se mere chishtiya daman na chhudao
Mein dar pe pada hun Tumhe jana ho to jaao
Is dar se uthunga to kahin ka na rahunga
Mujko Mere Mueen ke dar se na uthao
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Mera dil Meri jaan Mera arman hai
Mein hun nirdhan Mera Khwaja Dhanwan hai
Hind mein Sare Waliyon ka Sulta hai
Meri har sans Khwaja pe Qurban hai
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Roze ka naksha zahen mein Gumbad pe nazar hai
Ye sab Mere Mueen ki nisbat ka asar hai
Duniya na jaan payegi is dil ki kaifiyat
Mein kis liye aaya hun ye Khwaja ko khabar hai
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Unki nazar se bakht ka takhta hi palat hai
Andaze sakhawat Mere Khwaja ka bikhat hai
Zardar ki daulat to tijori mein sad gayi
Mazdoor ke hathon mein Madine ka tikat hai
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Ji raha hun zamane ke andher mein
Jage qismat bala se Meri dair mein
Rooh Meri Madina chali jayegi
Maut aa jaye gar Mujko Ajmer mein
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Chadar unhi ke hath se Roze pe chadana
Naraz unse hoke Tum aankhen na churana
Acchhe hein ya bure hein wo Khwaja ko pasand hein
Khwaja ke gulamon ka kabhi dil na dukhana
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Pyare Nabi ke chain ka wo Noore Ayn ka
Khatune Khuld Zehra ka Badre Hunain ka
Mujko yakin hai ke Meri joli bharegi
Khwaja se Mujko lena hai sadqa Husain ka
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Mastano ke rele mein Das roz ke mele mein
Din kitne suhnae the Khush sare diwane the
Jab khatm hua mela Aankhon mein nami aayi
Khwaja se bichhdne ki jis waqt gadi aayi
Rota tha Machalta tha Chokhat pe tadapta tha
Dehliz pe Khwaja ki Diwana ye kehta tha

Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

2 comments:

घरेलू झगड़ो का इलाज,Gharelu Jhagde Ka Ilaaj,

*💔घरेलू झगड़ो का इलाज💔* 🌸मुफ़्ती अहमद यार खान अलैरहमा फरमाते है : 🏩घर में दाखिल होते वक़्त बिस्मिल्लाह पढ़ कर पहले सीधा क़दम दरवाज़े में द...