Friday, March 16, 2018

Namaz Padhne ka sahi Tarika Namaz kaise padi jati hai Namaz mein kya padha jaye

Namaz Padhne Ka Sahi Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Namaz Parhne Ka Tarika In Hindi and Urdu Sahih Hadees Ke Mutabiq Step by Step


Namaz Me Kya Kya Padhna Chahiye Namaz Parhne Ka Sahi Tarika In Urdu 


 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ


Note: Namaz Padhne Ke Liye Apke Jism aur Kapdon Ka Paak Saaf Hona Lazmi Hai aur Namaz Shuru Karne Se Pehle Wazu Karna Farz Hai Kyun Ki Wazu Ke Baghair Namaz Nahi Hoti.


Quran E Pak Ki Surah Al-Maida Ayat No.6 Mein Allah Ta'ala Ka Irshad Hai.


مومنو! جب تم نماز پڑھنے کا قصد کیا کرو تو منہ اورکہنیوں تک ہاتھ دھو لیا کرو۔ اور سر کا مسح کرلیا کرو۔ اور ٹخنوں تک پاؤں (دھولیا کرو) اور اگر نہانے کی حاجت ہو تو (نہاکر) پاک ہو جایا کرو اور اگر بیمار ہو یا سفر میں ہو یا کوئی تم میں سے بیت الخلا سے آیا ہو یا تم عورتوں سے ہمبستر ہوئے ہو ، اور تمہیں پانی نہ مل سکے تو پاک مِٹّی لو اور اس منہ اور ہاتھو کا مسح (یعنی تیمم) کرلو۔ خدا تم پر کسی طرح کی تنگی نہیں کرنی چاہتا بلکہ یہ چاہتا ہے کہ تمہیں پاک کرے اور اپنی نعمتیں تم پر پوری کرے۔ تاکہ تم شکر کرو۔   

(Surah Al-Maida Ayat No.6)


1st Step:

NIYYAT (نیت)





Namaz ke liye Niyyat laazmi hai aur niyat dil ke irade ka naam hai.Zubaan se niyat Sunnat se sabit nahi.Aap jo namaz parh rahe ho uski niyat kar lein. Aur Phir Takbeer Allah-O-Akbar keh kar apne seedhe hath ko neche rakhen aur bayen haath ko opar is tarah rakhen k aap ke seedhe haath ki 3 ungliyan samne ki taraf aur angotha upar ki taraf aur sab se choti ungli neeche ki taraf ho is tarah apne dono haath seene par rakh kar bandh lein.

TAKBEER (تکبیر)


اَللہُ اَکبَر


:ترجمہ

 Allah Bohat Bara Hai.


SANAA (ثنآ)


سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعالَى جَدُّكَ وَلا إِلَهَ غَيْرُكَ

 :ترجمہ

Ae Allah teri zaat khatao'on se paak hai khoobiyan wali hai,aur tera naam barkat wala hai,aur teri shaan oonchi hai aur tere siwa koi ibadat ke qaabil nahi.


TA'AWWUZ (تعوذ)



أَعُوْذُ بِا للّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ





:ترجمہ

Panaah maangta hoon main Allah ki shaitan mardood se.


TASMIYAH (تسمیہ)


بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ 

Shuru Allah ka naam le kar jo bara meherbaan aur nihayat reham karne wala hai.


Al-Fatihah (سورۃ الفاتحہ)


بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ 




اَلۡحَمۡدُ لِلّٰهِ رَبِّ الۡعٰلَمِيۡنَۙ * الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِۙ‏ مٰلِكِ يَوۡمِ الدِّيۡنِؕ * اِيَّاكَ نَعۡبُدُ وَاِيَّاكَ 

نَسۡتَعِيۡنُؕ * اِهۡدِنَا الصِّرَاطَ الۡمُسۡتَقِيۡمَۙ‏ * صِرَاطَ الَّذِيۡنَ اَنۡعَمۡتَ عَلَيۡهِمۡ ۙ * غَيۡرِ 

*الۡمَغۡضُوۡبِ عَلَيۡهِمۡ وَلَا الضَّآلِّيۡنَ


:ترجمہ

Sab tarah ki tareef Allah ke liye jo tamaam makhluqat ka paalne wala hai. Bara Meherban nihayat reham karne wala hai. Qayamat ke din ka maalik hai. Aye hamarey Rabb hum teri hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad mangtay hain.Hum ko seedha raasta dikhaa. Un logoon ka raasta jin par tum ne inaam farmaya, na un ka jin par tera ghazab naazil hua aur na gumrahon ke. (AAMEEN)

Surat Al-Fateha parhne ke baad Quran ki koi bhi surat jo aapko yaad ho parhein.ya kam az kam teen Ayaat laazmi parhein.for example:Surah Al-Kausar.

Surah Ikhlas

سورة الإخلاص

قُلْ هُوَ اللهُ أَحَدٌ {1} 

اللهُ الصَّمَدُ {2} 

لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ {3} 

وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ {4}


2nd Step:

Ab Rafa Yadain Karne Ke Liye Apne Dono Hath Samne Ki Taraf Uthayen Jistarah Tasveer mein bataya Gaya Hai.


3rd Step:


Ab Allah o Akbar keh kar Ruku mein chale jaayein.




RUKU KI DUA (رکوع کی دعا)


سُبْحَانَ رَبِّیَ الْعَظِیْمْ (3) بارکہیں


:ترجمہ

Paak hai mera Rabb jo bari Azmat wala hai. (3 times)



4th Step:


Phir Ruku se seedha khare hote hue Rafidain karen aur yeh alfaaz kahein.





RUKU SE UTHNE KI DUA (رکوع سےاٹھنےکی دعا)




سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ ، حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ


:ترجمہ

Aye Allah! Aye Humare Rab! Teri he Tareef hai, bohat sari hamad, Pakeeza aur babarkat.

5th Step:

Ab Sajde mein chale jaein aur dono Sajdon mein yeh dua parhein.



SAJDA KI DUA (سجدہ کی دعا)

سُبْحَانَ رَبِّیَ الْاَعْلیٰ (3) بارکہیں

:ترجمہ

Paak hai mera Rabb jo bohat boland shaan wala hai. (3 times)

6th Step:

Iss tariqay se baqi Namaz ki Rakaat ko poora kare, aur aakhri rakaat mein do zanoo ho kar beth jaein.iss haalat ko AL-TAHIYYAAT kehtay hain.



AL-TAHIYYAAT KI DUAEIN (التحیات کی دعاعیں)




التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ

وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ،

أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ*‏‏



:ترجمہ

Hamari zindagi aur Namaaz aur Pakeezgi sirf Allah ke liye hai.Ae Nabi (S.A.W.) Aap par Allah ki Salaamti aur Rehmat naazil ho.Aur salaam ho hum par aur Allah ke Naike bandon par.Main gawahi deta hoon k Allah ke siwa koi ibaadat ke qaabil nahi aur main gawahi deta hoon k Muhammad (S.A.W.) Allah ke bunday aur Rasool hain.

iske baad Durood Sharif parhein.


DUROOD E IBRAHEEMI (درودِابراھیمی)


اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ

وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ



اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ،وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ،
*إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ

 :ترجمہ

Ae Allah Rehmat naazil farmaa Muhammad (S.A.W.) par aur Aap ki AAL (aulaad) par jaisa k Rehmat naazil farmaee tu ne Ibrahim (A.S) aur Ibraheem (A.S) ki AAL par beshak tu bohat tareef ke qaabil aur bari buzurgi wala hai.

Ae Allah Barkat naazil farmaa Muhammad (S.A.W.) par aur Aap ki AAL par jaisa k Barkat naazil farmaee tu ne Ibraheem (A.S) par aur Ibraheem (A.S) ki AAL par beshak tu bohat tareef  ke qaabil aur bari buzurgi wala hai.


Durood Sharif Ke Baad Yeh Dua Parhein:


 ‏اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ ‏‏الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ ‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَفِتْنَةِ الْمَمَاتِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ ‏الْمَأْثَمِ ‏ ‏وَالْمَغْرَمِ

:ترجمہ

Ae Allah main teri panaah maangta hoon Qabar ke azaab se, aur main teri panaah maangta hoon Dozakh ke azaab se,aur tujh se pannah maangta Maseeh DAJJAL ke fitnay se,aur teri panaah maangta hoon zindagi aur maut ke fitnay se.Ae Allah main teri panaah maangta hoon Gunaah aur Qarz se.


EXTRA DUAIN (دیگردعاعیں)


رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلاَةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاء * رَبَّنَا 

اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ إبراهيم/35-41


 :ترجمہ


Ae mere Rabb mujhe Namaaz ko qaim karne wala bana de aur meri aulaad ko bhi, aur ae hamaray Rabb meri dua qabool farmaa.Ae hamaray Rabb mujh ko  aur mere maa baap ko aur tamaam mominoon ko Bakhsh de uss din jab amaloon ka hisaab honay lage.


رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ


:ترجمہ

Aye hamarey Rabb hamein duniya mein bhi bhalai ata farma aur aakhirat mein bhi bhalai ata farma, aur hamein Dozakh ke azaab se bacha le.


Last Step:

iss ke baad apne dayen aur bayen dono taraf chehra pherte huwe yeh dua parhein.



السَّلامُ عَلَيْكُم ورَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكاتُهُ


:ترجمہ

Salaam ho aap par aur Allah ki Rehmat aur Barkat ho.


Note: Namaz Padhne Ke Liye Apke Jism aur Kapdon Ka Paak Saaf Hona Lazmi Hai aur Namaz Shuru Karne Se Pehle Wazu Karna Farz Hai Kyun Ki Wazu Ke Baghair Namaz Nahi Hoti.

Namaz Parhne Ka Tarika apni family friends ke sath share karen aur iss sadqa jariya mein shamil ho jayen...

JAZAKALLAHU KHAIR.

1 comment:

घरेलू झगड़ो का इलाज,Gharelu Jhagde Ka Ilaaj,

*💔घरेलू झगड़ो का इलाज💔* 🌸मुफ़्ती अहमद यार खान अलैरहमा फरमाते है : 🏩घर में दाखिल होते वक़्त बिस्मिल्लाह पढ़ कर पहले सीधा क़दम दरवाज़े में द...