Monday, March 26, 2018

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه Sultan ul Hind


```Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه Sultan ul Hind #1441.``` *بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne ek anaar Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke haath ata kiya aur farmaya isme dekhlo aur jaan lo tumhe kaha jaana hai. Hukm ke mutabik Sultan ul Hind Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne anaar ke andar nigah ki to mashrik se magribh tak jo kuch tha woh sabh raushan ho gaya. Shehair e Ajmer aur uski pahadiya wagairah bhi nazar aa gayi. سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله *#Sairul Aqtaab, Safah No, 123/124.* Makhdoom Jahaaniya Jahaa Gasht ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne apne safarname mein likha hai ke - Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke Mazaar Shareef ke paas anaar ka ek darakht meri haziri ke waqt tha. Rozana saat (7) phal uss darakht se utarte the. jo shakhs uss anaar ko apne yahab farzand hone ki niyat se kha leta Ba-Hukm e Rabbi woh saahib e aulaad ho jata tha. #Iqtebaas Az-Hashiyaa Moinul Arvah Safah No, 79. # Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.213/ 215. *_Tammam Ashiqan E Garib Nawaz Ko Chatti Sharif Mubarak ho_* *Isse zyada se zyada share kare taki aur logo ke Ilm mein bhi izafa ho aur ye apke liye SADQA E ZARIYA bane* *JazakAllahu Khair*

No comments:

Post a Comment

घरेलू झगड़ो का इलाज,Gharelu Jhagde Ka Ilaaj,

*💔घरेलू झगड़ो का इलाज💔* 🌸मुफ़्ती अहमद यार खान अलैरहमा फरमाते है : 🏩घर में दाखिल होते वक़्त बिस्मिल्लाह पढ़ कर पहले सीधा क़दम दरवाज़े में द...